hawas ye rah gai dil mein ki muddaa na mila
bahut jahan mein DhunDha par aashna na mila
hua hai kaun sa mashuq ba-wafa ai dil
gila abas hai agar wo mila mila na mila
ajib qismat-e-bad thi shab-e-firaq mein hum
kamal DhunDh phire KHana-e-qaza na mila
na de tu hath se hun zoaf se main rang-e-hina
hawa-e-shauq-e-fana mein jahan uDa na mila
jawab degi bhala roz-e-baz-purs to kya
uDa uDa ke hamein KHak mein saba na mila
wo kushta-e-nigah-e-qahr tha ki mahshar mein
mere jalane ko ahkaam-e-dil-ruba na mila
ghariq-e-bahr-e-sitam umr ki hui kashti
bahut sa hum ne pukara pa na-KHuda na mila
kamal-o-aish-o-jawani-o-mulk-o-mal-o-tarab
ye sab mile hamein par yar ba-wafa na mila
ajib josh-e-junun mein hui thi pamali
ki ek aabla tak dost-dar-e-pa na mila
chubhe hazar tamanna se kyun na be-khaTke
ki KHar ko koi hum sa barahna-pa na mila
bahut si karte rahe bagh-e-dahr mein gul-gasht
par apne bulbul-e-dil ko 'nasim' sa na mila

Ghazal
Hawas ye rah gai dil mein ki muddaa na mila
Naseem Dehlvi