hawas-parasti o ghaarat-gari ki lat na gai
yazid mar gaya lekin yazidiyat na gai
ghira raha main ajab kashmakash ke aalam mein
ki jab talak mere sanson ki sut kat na gai
KHirad ki aag mein sadiyon jale badan lekin
dil-o-dimagh se bu-e-munafirat na gai
hayat o maut ke har inqalab se guzre
hamare sar se magar aasman ki chhat na gai
jatan hazar kiye marg-e-na-gahani ne
magar hayat ki hargiz chalat-phirat na gai
tilism-e-lafz-o-maani mein qaid hun 'shadab'
tamam umr mere hath se lughat na gai
Ghazal
Hawas-parasti o ghaarat-gari ki lat na gai
Aqeel Shadab