hawas ki aag bujhi dil ki tishnagi hai wahi
sukun-e-jaan se tahi meri zindagi hai wahi
dil-e-fasurda mein ehsas hi nahin baqi
jahan-e-kohna mein warna shaguftagi hai wahi
jamal aur junun ho chuke zamana-shanas
niyaz-o-naz mein kahne ko sadgi hai wahi
koi qusur to sabit na ho saka lekin
jo bad-guman the unhen mujh se barhami hai wahi
wo har qadam ke asar se hai ba-KHabar phir bhi
rah-e-hayat mein insan ki kaj-rawi hai wahi
Ghazal
Hawas ki aag bujhi dil ki tishnagi hai wahi
Nazeer Siddiqui