hawas ke bij badan jab se dil mein bone laga
main KHud se milne ke sare jawaz khone laga
rafiq-e-subh tha suraj se rishta-dari thi
sipah-e-shab mein ye kis ka shumar hone laga
ajib manzar-e-aKHir tha bujhti aankhon mein
wo mujh ko mar ke be-iKHtiyar rone laga
is ehtiyat ki sarhad saza se milti hai
lahu ka nam liya aastin dhone laga
phir is ke baad ye sari zamin meri thi
jaga ke jab se mujhe ye zamir sone laga
Ghazal
Hawas ke bij badan jab se dil mein bone laga
Shoaib Nizam