hawas ka rang ziyaada nahin tamanna mein
abhi ye mauj hai beganagi ke sahra mein
samundaron mein sitaron ki aag phaili hai
mahak raha hai lahu lazzat-e-nazara mein
hawa ne abr-e-bahaaran se bewafai ki
KHabar karo kisi aaram-gah-e-tanha mein
dilon ke band darichon se jhank kar dekho
kisi fasad ki parchhaiyan hain duniya mein
fareb tha jo mujhe zoam-e-be-karani tha
udas hain mere sahil firaq-e-dariya mein
mujhe to ek tera husn hi bahut hai magar
tere liye bhi bahut kuchh hai KHwab-e-farda mein
Ghazal
Hawas ka rang ziyaada nahin tamanna mein
Rais Farogh

