hawas ka rang chaDha us pe aur utar bhi gaya
wo KHud hi jama hua aur KHud bikhar bhi gaya
thi zindagi meri rahon ke pech-o-KHam ki asir
magar main raat ke hamrah apne ghar bhi gaya
main dushmanon mein bhi ghir kar niDar raha lekin
KHud apne jazba-e-haiwaniyat se Dar bhi gaya
mere lahu ki talab ne mujhe tabah kiya
hawas mein sang ki hathon se mere sar bhi gaya
hai lafz-o-mani ka rishta zawal-amada
KHayal paida hua bhi na tha ki mar bhi gaya
sila ye manzil-e-maqsud ka mila 'shadab'
safar tamam hua aur ham-safar bhi gaya
Ghazal
Hawas ka rang chaDha us pe aur utar bhi gaya
Aqeel Shadab