hawas ka dam phailaya hua hai
dil-e-masum ghabraya hua hai
kisi shishe pe baal aaya hua hai
dil-e-ghamnak tharraya hua hai
tamanna KHuld ki aur mai-parasti
ye waiz kis ka bahkaya hua hai
kahan le jaun raghbat aashiyan ki
andhera har taraf chhaya hua hai
jahan ho kar-farma zar-parasti
wahan zauq-e-KHuda aaya hua hai
KHudara is taraf bhi ek nazar ho
kisi ne hath phailaya hua hai
zaban-e-'zabt' ne urdu zaban mein
gul-e-sad-barg mahkaya hua hai
Ghazal
Hawas ka dam phailaya hua hai
Shiv Charan Das Goyal Zabt