اردو हिंदी
Hawas jalwa nahin zauq-e-tamasha bhi nahin | Shaahi Shayari
hawas jalwa nahin zauq-e-tamasha bhi nahin

Ghazal

Hawas jalwa nahin zauq-e-tamasha bhi nahin

Shaz Tamkanat

;

hawas jalwa nahin zauq-e-tamasha bhi nahin
kisi chehre pe tere chehre ka dhoka bhi nahin

gham-gusari ki tawaqqoa na dilase ki umid
kya qayamat hai ki main ishq mein ruswa bhi nahin

wahi mil baiThna pahron wahi ahbab ki bazm
KHud-farebi ka bhala ho ki main tanha bhi nahin

husn sar-ta-pa taghaful hai riwayat ke nisar
tajraba apna ye kahta hai ki aisa bhi nahin

samna ho to wahi bojh sa jaise dil par
tum se mana ki kisi baat ka parda bhi nahin

aage aage koi mashal si liye chalta tha
hae us shaKHs ka kya nam tha puchha bhi nahin

sirf KHalwat ki hai shoKHi ki abhi tak us ne
'shaz' kah kar mujhe mahfil mein pukara bhi nahin