hawas-e-zulf-e-girah-gir liye baiThe hain
aayat-e-shauq ki tafsir liye baiThe hain
aasman sath chala ghar ki zamin dur hui
tujh se dur ek rah-e-dil-gir liye baiThe hain
wajh-e-tazir hui be-watani bhi jab se
ambarin hathon ki tahrir liye baiThe hain
aap se aap wo khulti hui zulfen teri
ab isi sog ki taswir liye baiThe hain
hae kya ahd-e-jawani-o-mohabbat hai ki hum
ek na ek marne ki tadbir liye baiThe hain
zindagi be-dar-o-diwar makan hai koi
kab se ek hasrat-e-tamir liye baiThe hain
koi apnon hi mein qatil hai to hum chup se 'shahab'
zaKHm khae hue shamshir liye baiThe hain
Ghazal
Hawas-e-zulf-e-girah-gir liye baiThe hain
Shahab Jafri