hawas-e-waqt ka andaza lagaya jae
raat pagal hui darwaza lagaya jae
aashna shahr ki aankhon mein naya shaKHs lagun
aisa chehre pe koi ghaza lagaya jae
bite mausam mein jo phal aae kasile nikle
ab koi peD yahan taza lagaya jae
bhagte dauDte shahron ko pinha kar zanjir
KHalwat-e-jaan ka bhi andaza lagaya jae
main bikhar jaun na kaghaz ki tarah kamre mein
tez tufan hai darwaza lagaya jae
Ghazal
Hawas-e-waqt ka andaza lagaya jae
Shakeb Ayaz