اردو हिंदी
Hawas-e-KHalwat-e-KHurshid-o-nishan aur sahi | Shaahi Shayari
hawas-e-KHalwat-e-KHurshid-o-nishan aur sahi

Ghazal

Hawas-e-KHalwat-e-KHurshid-o-nishan aur sahi

Ravish Siddiqi

;

hawas-e-KHalwat-e-KHurshid-o-nishan aur sahi
dur hai subh to ye KHwab-e-giran aur sahi

kuchh shikasta sa hai rangini-o-nikhat ka tilism
yahi bedad-e-KHizan hai to KHizan aur sahi

marhale danish-e-hazir ke to sab KHatm hue
ek qadam jaanib-e-aqlim-e-guman aur sahi

meri palken bhi giran-bar rahi hain ai dost
ab ye aansu tere daman pe giran aur sahi

jalwa-e-husn-e-butan se hai agar dil ka ziyan
ai KHuda-wand mere dil ka ziyan aur sahi

sainkaDon ruKH hain mohabbat ki kahani ke 'rawish'
ek andaz-e-hadis-e-digran aur sahi