hawas bala ki mohabbat hamein bala ki hai
kabhi buton ki KHushamad kabhi KHuda ki hai
kisi ko chahne wale yahi to karte hain
baDa kamal kiya hai agar wafa ki hai
guzar basar hai hamari faqat qanaat par
nasib ne yahi daulat hamein ata ki hai
tamam raat paDi thi guzarne ke liye
chunanche KHatm surahi zara zara ki hai
sharab se koi raghbat nahin hai muhtasibo
hakim ne hamein tajwiz ye dawa ki hai
zara si der ko aae the shaiKH idhar lekin
yahin janab ne maghrib yahin isha ki hai
tumhaara chehra-e-pur-nur dekhta hun to
yaqin hi nahin aata ki jism KHaki hai
mujhe aziz na ho kyun rijaiyat apni
ye gham-sharik mere daur-e-ibtila ki hai
'shuur' KHud ko zahin aadmi samajhte hain
ye sadgi hai to wallah intiha ki hai
Ghazal
Hawas bala ki mohabbat hamein bala ki hai
Anwar Shuoor