اردو हिंदी
Hawas mein to na the phir bhi kya na kar aae | Shaahi Shayari
hawas mein to na the phir bhi kya na kar aae

Ghazal

Hawas mein to na the phir bhi kya na kar aae

Jaun Eliya

;

hawas mein to na the phir bhi kya na kar aae
ki dar par gae hum aur phir utar aae

ajib haal ke majnun the jo ba-ishwa-o-naz
ba-su-e-baad ye mahmil mein baiTh kar aae

kabhi gae the miyan jo KHabar ke sahra ki
wo aae bhi to bagulon ke sath ghar aae

koi junun nahin saudaiyan-e-sahra ko
ki jo azab bhi aae wo shahr par aae

batao dam guru chahiye tumhein ab kya
parindagan-e-hawa KHak par utar aae

ajab KHulus se ruKHsat kiya gaya hum ko
KHayal-e-KHam ka tawan tha so bhar aae