hawaon ke muqabil hun
charaghon ki wo mahfil hun
KHuda jaane kahan hun main
na bahar hun na shamil hun
mere kandhe pe wo bikhre
hain mauj ek wo main sahil hun
ye chadar silwaTen takiya
batate hain main ghafil hun
main jo chahun wo pa lun par
abhi KHud hi se ghafil hun
yahan sab be-sahaara hai
sahaara dun? main baatil hun
umiden tum se rakhti hun
kaho to kitni jahil hun
jua hai zindagi jaise
jo jite us ko hasil hun
rahe zad mein junun jis ke
usi ko phir main hasil hun
Ghazal
Hawaon ke muqabil hun
Puja Bhatia