hawaon ka jo shah-par bolta hai
hamare ghar ka chhappar bolta hai
wahi manzar-ba-manzar bolta hai
ghazal chehra badan bhar bolta hai
falak sahra samundar bolta hai
tilism-e-KHwab shab-bhar bolta hai
kai faqon ka mazhar bolta hai
shikam-parwar jo patthar bolta hai
KHamoshi oDh leta hai falak-bhar
kabhi wo shaKHs aksar bolta hai
kabhi karte hain sajde chand-tare
kabhi muTThi mein kankar bolta hai
pighalti ja rahi hai barf sari
tabahi ka samundar bolta hai
main apne aap se karta hun baaten
ki KHud mujh se mera ghar bolta hai
pahan leta hai wo jo kuchh bhi 'saifi'
bahut us ke badan par bolta hai
Ghazal
Hawaon ka jo shah-par bolta hai
Muneer Saifi