hawaen lakh chalen lau sambhalti rahti hai
diye ki ruh mein kya chiz jalti rahti hai
kise KHabar ki ye ek din kidhar ko le jae
lahu ki mauj jo sar mein uchhalti rahti hai
agar kahun to tumhein bhi na e'tibar aae
jo aarzu mere dil mein machalti rahti hai
madar se nahin haTta koi sitara kyun
ye kis hisar mein har chiz chalti rahti hai
wo aadmi hun sitare hun ya tamannaen
samay ki rah mein har shai badalti rahti hai
yunhi azal se hai 'amjad' zamin gardish mein
kabhi sahar to kabhi raat Dhalti rahti hai
Ghazal
Hawaen lakh chalen lau sambhalti rahti hai
Amjad Islam Amjad