hawadisat ke mare saubaton mein pale
nigah-e-garm se tarsan hon bijliyon ke jale
wo but-kada tha jahan sar jhuke charagh jale
ye mai-kada hai yahan KHam uThe sharab chale
ye raqs-e-anjum-o-mahtab ye saman ye sukun
ye daur-e-mai abhi kuchh aur thoDi der chale
jo apne aap hi mein karda-rah-e-manzil the
rah-e-hayat mein kuchh aise rahnuma bhi mile
bisat-e-anjum-o-mah ho ki mai-kade ka KHarosh
ye bazm rang pe aati hai apni raat Dhale
ziya wo di hai mere dagh-ha-e-dil ne ki bas
charagh-e-bazm-e-tamanna na ek raat jale
jo apni qaum ki kashti ki KHud Dubo Dale
hum aise rahbar-e-qaum ke baghair bhale
isi tazad mein muzmar hai zindagi ka fusun
kahin charagh bujhe aur kahin charagh jale
KHuda bachae bas us mir-e-karwan se 'jalil'
jo kaT leta ho KHud ahl-e-karwan ke gale

Ghazal
Hawadisat ke mare saubaton mein pale
Jaleel Sherkoti