اردو हिंदी
Hawadis par na ai nadan nazar kar | Shaahi Shayari
hawadis par na ai nadan nazar kar

Ghazal

Hawadis par na ai nadan nazar kar

Josh Malsiani

;

hawadis par na ai nadan nazar kar
qaza se jang be-KHauf-o-KHatar kar

muafi bhi saza se kam nahin hai
bas ab is darguzar se darguzar kar

jahan Dubi thi kashti aarzu ki
usi girdab mein nikli ubhar kar

kabhi to mail-e-tark-e-sitam ho
kabhi mujh par karam ki bhi nazar kar

guzara to yahan mushkil hai ai dil
magar ab jis tarah bhi ho guzar kar

wo mujh KHunin-kafan se puchhte hain
kahan jaane lage ho ban-sanwar kar

wahi hasti ka chakkar hai yahan bhi
bhanwar hi mein rahe hum par utar kar

meri muKHtariyon ke sath ya-rab
meri majburiyon par bhi nazar kar

nae aalam idhar bhi hain udhar bhi
yahi dekha do-alam se guzar kar

bayan-e-dard-e-dil ai 'josh' kab tak
KHuda-ra ab ye qissa muKHtasar kar