اردو हिंदी
Hawadis ham-safar apne talatum ham-inan apna | Shaahi Shayari
hawadis ham-safar apne talatum ham-inan apna

Ghazal

Hawadis ham-safar apne talatum ham-inan apna

Qabil Ajmeri

;

hawadis ham-safar apne talatum ham-inan apna
zamana luT sakta hai to luTe karwan apna

nasim-e-subh se kya TuTta KHwab-e-giran apna
koi nadan bijli chhu gai hai aashiyan apna

hamein bhi dekh lo aasar-e-manzil dekhne walo
kabhi hum ne bhi dekha tha ghubar-e-karwan apna

mizaj-e-husn par kya kya guzarta hai giran phir bhi
kisi ko aa hi jata hai KHayal-e-na-gahan apna

azal se kar rahi hai zindagani tajrabe lekin
zamana aaj tak samjha nahin sud o ziyan apna

jamal-e-dost ko paiham bikharna hai sanwarna hai
mohabbat ne uThaya hai abhi parda kahan apna

hamesha shama bhaDkegi sada paimana chhalkega
teri mahfil mein hum chhoD aae hain josh-e-bayan apna