hawa zamane ki saqi badal to sakti hai
hayat saghar-e-rangin mein Dhal to sakti hai
bas ek latif tabassum bas ek hasin nazar
mariz-e-dil ki ye haalat sambhal to sakti hai
jahan se chhoD rahe ho mujhe andhere mein
wahin se rah-e-mohabbat nikal to sakti hai
phir apne ghuncha-e-zaKHm-e-jigar ka kya hoga
nasim-e-subh meri samt chal to sakti hai
teri nigah-e-karam ki qasam hai ab bhi mujhe
yahi yaqin ki duniya badal to sakti hai
'salam' jam-o-subu ki ye shairi malum
wagarna apni tabiat bahal to sakti hai
Ghazal
Hawa zamane ki saqi badal to sakti hai
Salam Machhli shahri