hawa to hai hi muKHalif mujhe Daraata hai kya
hawa se puchh ke koi diye jalata hai kya
guhar jo hain tah-e-dariya to sang-o-KHisht bhi hain
ye dekhna hai meri dastaras mein aata hai kya
nawah-e-jaan mein jo chalti hai kaisi aandhi hai
diye ki lo ki tarah mujh mein thartharaata hai kya
gale mein nam ki taKHti gulab rakhte hain
charag apna taaruf kahin karaata hai kya
nishan-e-qabr bhi chhoDa nahin raqabat ne
kisi ko aise koi KHak mein milata hai kya
fana ke baad hi milti hai zindagi ko dawa
'talab' ye ramz tumhaari samajh mein aata hai kya
Ghazal
Hawa to hai hi muKhaalif mujhe Daraata hai kya
Khurshid Talab