اردو हिंदी
Hawa se baada nichoDen kali ko jam karen | Shaahi Shayari
hawa se baada nichoDen kali ko jam karen

Ghazal

Hawa se baada nichoDen kali ko jam karen

Moghisuddin Fareedi

;

hawa se baada nichoDen kali ko jam karen
sukut-e-rang-e-chaman se zara kalam karen

hamein to koi bhi pahchanta nahin hai yahan
nigah kis se milaen kise salam karen

zamana is pe tula hai KHirad ki baat rahe
hamein ye zid hai ki uncha junun ka nam karen

faza hai gosh-bar-awaz chup hain ahl-e-nawa
ab is adhuri kahani ko hum tamam karen

tumhaare jam ko pahle nazar se chhalka den
phir apne hosh mein aa kar tawaf-e-jam karen

kisi ghazal mein bhi ab nahin ram-e-wahshat
hum apne sehr-e-tamanna se kis ko ram karen

KHulus-e-dil ka sila soz aarzu ka guhar
isi guhar 'faridi' charagh-e-sham karen