hawa rah mein diye taqon mein maddham ho gae hain
mahaz ab duriyon ke kitne mohkam ho gae hain
hujum-e-na-shanasan mein hai itna hi ghanimat
ye rishte ajnabiyyat ke jo qaem ho gae hain
chaTTanon se jahan thi guftugu-e-saKHt lazim
wahin shirin-suKHan lahje mulaem ho gae hain
mere bachche tera bachpan to main ne bech Dala
buzurgi oDh kar kandhe tere KHam ho gae hain
azabon se Tapakti ye chhaten barson chalengi
abhi se kyun makin masruf-e-matam ho gae hain
Ghazal
Hawa rah mein diye taqon mein maddham ho gae hain
Musavvir Sabzwari