hawa pe chal raha hai chand rah-war ki tarah
qadam uTha rahi hai raat ek sawar ki tarah
fasil-e-wadi-e-KHayal se utar rahi hai shab
kisi KHamosh aur udas aabshaar ki tarah
taDap raha hai barishon mein mere jism ka shajar
siyah abr mein ghire hue chinar ki tarah
inhi udasiyon ki kaenat mein kabhi to main
KHizan ko jit lungi mausam-e-bahaar ki tarah
tere KHayal ke safar mein tere sath main bhi hun
kahin kahin kisi ghubar-e-rah-guzar ki tarah
ubur kar saki na faslon ki gardishon ko main
buland ho gai zamin kohsar ki tarah
tere diye ki raushni ko DhunDta hai sham se
mera makan kisi luTe hue dayar ki tarah
Ghazal
Hawa pe chal raha hai chand rah-war ki tarah
Shahida Hasan