hawa o abr ko aasuda-e-mafhum kar dekhun
shurua-e-fasl-e-gul hai un labon ko chum kar dekhun
kahan kis aaine mein kaun sa chehra damakta hai
zara hairat-sara-e-ab-o-gil mein ghum kar dekhun
mere sine mein dil hai ya koi shahzada-e-KHud-sar
kisi din us ko taj-o-taKHt se mahrum kar dekhun
guzargahen jahan par KHatm hoti hain wahan kya hai
koi rah-raw palaT kar aae to malum kar dekhun
bahut din dasht-o-dar mein KHak uDate hue 'sarwat'
ab apne sehn mein apni faza mein jhum kar dekhun
Ghazal
Hawa o abr ko aasuda-e-mafhum kar dekhun
Sarvat Husain