hawa ne dosh se jhaTka to aab par Thahra
main kuchh bhanwar mein gira kuchh habab par Thahra
zamin se jazb ye pighli si nikhaten na huin
urus-e-shab ka pasina gulab par Thahra
gham o nashat ka kitna hasin sangam hai
ki tara aankh se TuTa sharab par Thahra
rupahli jhil ki maujon mein iztirab sa hai
qadam ye kis ka sunahre sarab par Thahra
main lafz-e-KHam hun koi ki tarjuman-e-ghazal
ye faisla kisi taza kitab par Thahra
Ghazal
Hawa ne dosh se jhaTka to aab par Thahra
Jamuna Parsad Rahi