hawa na-sazgar-e-gulsitan malum hoti hai
agar hansti bhi hain kaliyan fughan malum hoti hain
KHushi mein apni KHush-baKHti kahan malum hoti hai
qafas mein ja ke qadr-e-ashiyan malum hoti hai
har ek ke zarf ki wusat yahan malum hoti hai
mohabbat aadmi ka imtihan malum hoti hai
kabhi shayad mohabbat ka koi hasil nikal aae
abhi to raegan hi raegan malum hoti hai
ye dil ko kar diya kaisa kisi ki kam-nigahi ne
zara si phans chubhti hai sinan malum hoti hai
khinch aati hain isi sahil pe KHud do ajnabi maujen
mohabbat ek jazb-e-be-aman malum hoti hai
ufuq hi par abhi tak hain tasawwur ki hasin shamen
kahin Thahri hui umr-e-rawan malum hoti hain
tum is haalat ko kya jaano na jaano hi to achchha hai
hansi jab aa ke honTon par fughan malum hoti hai
teri be-mehriyan aaKHir wo nazuk waqt le aaen
ki apnon ki mohabbat bhi garan malum hoti hai
nazar aata nahin shabnam ka girna phul ka khilna
mohabbat ki haqiqat na-gahan malum hoti hai
chaman ka dard hai jis dil mein to chahe kahin uTThe
use apni hi shaKH-e-ashiyan malum hoti hai
nazar phirti thi wo pahle bhi lekin yun na phirti thi
kuchh ab ki KHatm hoti dastan malum hoti hai
abhi KHakistar-e-'mulla' se uThta hai dhuan kuchh kuchh
kahin par koi chingari tapan malum hoti hai
Ghazal
Hawa na-sazgar-e-gulsitan malum hoti hai
Anand Narayan Mulla