hawa mahak uThi rang-e-chaman badalne laga
wo mere samne jab pairahan badalne laga
baham hue hain to ab guftugu nahin hoti
bayan-e-haal mein tarz-e-suKHan badalne laga
andhere mein bhi mujhe jagmaga gaya hai koi
bas ek nigah se rang-e-badan badalne laga
zara si der ko barish ruki thi shaKHon par
mizaj-e-sosan-o-sarw-o-saman badalne laga
faraaz-e-koh pe bijli kuchh is tarah chamki
libas-e-wadi-o-dasht-o-daman badalne laga
Ghazal
Hawa mahak uThi rang-e-chaman badalne laga
Parveen Shakir