hawa ko aur bhi kuchh tez kar gae hain log
charagh le ke na jaane kidhar gae hain log
safar ke shauq mein itne azab jhele hain
ki ab to qasd-e-safar hi se Dar gae hain log
dhuan dhuan nazar aati hain shahr ki galiyan
suna hai aaj sar-e-sham ghar gae hain log
jahan se nikle hain raste musafiron ke liye
makan aise bhi tamir kar gae hain log
kabhi kabhi to judai ki lazzaten de kar
rafaqaton mein naya rang bhar gae hain log
malal-e-tark-e-talluq na jaane kya hota
KHayal-e-tark-e-talluq se mar gae hain log
ghurur tund hawaon ka yun bhi toDa hai
charagh hath pe rakh kar guzar gae hain log
koi jawab nahin fikr ki bulandi ka
zamin pe rah ke bhi aflak par gae hain log
qarib the to faqat wasta tha aankhon se
juda hue hain to dil mein utar gae hain log
wo gesuon ki ghaTa ho ki dar ka saya
jahan bhi chhanw mili hai Thahar gae hain log
ye aur baat ki ghar bujh gae hain ai 'shaer'
magar watan mein charaghan to kar gae hain log
Ghazal
Hawa ko aur bhi kuchh tez kar gae hain log
Shaayar Lakhnavi