اردو हिंदी
Hawa ki zad pe charagh-e-shab-e-fasana tha | Shaahi Shayari
hawa ki zad pe charagh-e-shab-e-fasana tha

Ghazal

Hawa ki zad pe charagh-e-shab-e-fasana tha

Kabir Ajmal

;

hawa ki zad pe charagh-e-shab-e-fasana tha
magar hamein bhi usi se diya jalana tha

hamein bhi yaad na aai bahaar-e-ishwa-taraaz
use bhi hijr ka mausam bahut suhana tha

safar azab sahi dasht-e-gumrahi ka magar
kaTi tanab to KHema ujaD hi jaana tha

hamin ne raqs kiya naghma-e-fana par bhi
hamein hi palkon pe hijrat ka bar uThana tha

usi ki gunj hai tar-e-nafas mein ab ke miyan
sada-e-hu ko bhi warna kise jagana tha

hum aise KHak-nashinon ka zikr kya ki hamein
lahu ka qarz to har haal mein chukana tha

wo mere KHwab chura kar bhi KHush nahin 'ajmal'
wo ek KHwab lahu mein jo phail jaana tha