hawa ki Dor mein TuTe hue tare piroti hai
ye tanhai ajab laDki hai sannaTe mein roti hai
mohabbat mein laga rahta hai andesha judai ka
kisi ke ruTh jaane se kami mahsus hoti hai
KHamoshi ki qaba pahne hai mahw-e-guftugu koi
barahna jism tanhai mere pahlu mein soti hai
ye aankhen roz apne aansuon ke surKH resham se
naya kuchh KHwab bunti hai koi sapna sanjoti hai
lahu mein tairne lagta hai jab wo chand sa chehra
hawa-e-dard sine mein koi neza chubhoti hai
ye shahr-e-raftagan hai ab yahan koi nahin aata
ye kis ke paon ki aahaT mujhe mahsus hoti hai
burida-sar paDa hai kushta-e-ummid sahra mein
udasi KHak par baiThi hui aanchal bhigoti he
Ghazal
Hawa ki Dor mein TuTe hue tare piroti hai
Shahid Kamal