hawa ki chitwan jaise nain
honTon pe shabnam se bain
lamba jism samundar jaisa
suraj jis ke bhitar chain
lohu ki KHushbu mein jage
ek parinde wali rain
jal ek bahta jal ke andar
honTon ke tair bechain
hawa parinde ke qad jitni
shajar siyah hariyale ain
nain kaToron jaisi shabnam
dariya ujiyale base nain
samton ke mahtab badan mein
lohu lohu ka zaujain
do ghunche do jism hamare
ek shajar ka miTha bain

Ghazal
Hawa ki chitwan jaise nain
Salahuddin Mahmood