hawa ki andhi panahon mein mat uchhaal mujhe
zamin hisar-e-kashish se na tu nikal mujhe
siwa-e-ranj-e-nadamat na kuchh mila tum ko
main kah raha tha banao na tum misal mujhe
shikast-e-dil ne ajab gham ko suraten di hain
rafaqaton ki ghaDi hai zara sambhaal mujhe
main KHwab KHwab jaziron ki sair ko niklun
uTha ke parda-e-shab hairaton mein Dal mujhe
kabhi kabhi use dil se aziz-tar jaana
ye sar jo dosh pe lagta raha wabaal mujhe
zamin main teri chahat mein zer-e-dam aaya
asir kar nahin paya tha koi jal mujhe
bayaz-e-waqt pe us ne likha hai nam mera
yaqin kar ki na hoga kabhi zawal mujhe
suKHan ke kuchh to guhar main bhi nazr karta chalun
ajab nahin ki karen yaad mah o sal mujhe
Ghazal
Hawa ki andhi panahon mein mat uchhaal mujhe
Zubair Rizvi