hawa ke zor se jab baadban phaTne lage
musafir apne KHudaon ke nam raTne lage
hamare sinon pe ab bhi bahut jagah hai janab
magar tumhaare hi tarkash mein tir ghaTne lage
yazid-e-waqt hua jis ghaDi se taKHt-nashin
hamare nam ke KHanjar har ek mein baTne lage
makan hum ne bana to liya kinare par
na aisa ho ke kinare ki ret kaTne lage
tumhaari KHushiyan bhi meri hain gham bhi mere hain
ye mal-e-muft nahin jo har ek jhapaTne lage
ise charagh ka rutba kahun ya roab kahun
hawa ke par meri dahliz par simaTne lage
ye kis ne phenka hai patthar dhadhakte shoalon par
sharare ho ke juda aag se uchaTne lage
bahut tha zoam jinhen apni shah-sawari par
gire kuchh aise ke sine ke bal ghisaTne lage
tere mahal ke hisaron ki inT jhaDne lagin
na aisa ho tera shahi waqar ghaTne lage
hue hain shahr-badar hum magar KHuda na kare
makan dhansne lagen aur zamin palaTne lage
'nawaz' hum hi the jo rasta nahin badla
wo zalzale the ke dariya bhi rah se haTne lage
Ghazal
Hawa ke zor se jab baadban phaTne lage
Nawaz Asimi