اردو हिंदी
Hawa ke waste ek kaam chhoD aaya hun | Shaahi Shayari
hawa ke waste ek kaam chhoD aaya hun

Ghazal

Hawa ke waste ek kaam chhoD aaya hun

Ejaz Rahmani

;

hawa ke waste ek kaam chhoD aaya hun
diya jala ke sar-e-sham chhoD aaya hun

kabhi nasib ho fursat to us ko paDh lena
wo ek KHat jo tere nam chhoD aaya hun

hawa-e-dasht-o-bayaban bhi mujh se barham hai
main apne ghar ke dar-o-baam chhoD aaya hun

koi charagh sar-e-rahguzar nahin na sahi
main naqsh-e-pa ko bahar-gam chhoD aaya hun

abhi to aur bahut us pe tabsire honge
main guftugu mein jo ibham chhoD aaya hun

ye kam nahin hai wazahat meri asiri ki
paron ke rang tah-e-dam chhoD aaya hun

wahan se ek qadam bhi na ja saki aage
jahan pe gardish-e-ayyam chhoD aaya hun

mujhe jo DhunDhna chahe wo DhunDh le 'ejaz'
ki ab main kucha-e-gum-nam chhoD aaya hun