hawa ke war pe ab war karne wala hai
charagh bujhne se inkar karne wala hai
KHuda kare ki tera azm barqarar rahe
zamana rah mein diwar karne wala hai
wahi dikhaega tujh ko tamam dagh tere
jise tu aaina-bardar karne wala hai
ye war to kabhi KHali nahin gaya mera
koi to us ko KHabar-dar karne wala hai
usi ne rang bhare hain tamam phulon mein
wahi shajar ko samar-dar karne wala hai
zamin bech ke KHush ho rahe ho tum jis ko
wo sare ganw ko bazar karne wala hai
Ghazal
Hawa ke war pe ab war karne wala hai
Vikas Sharma Raaz