hawa ke sath safar iKHtiyar karna tha
dayar-e-shab ko KHamoshi se par karna tha
hamari KHak koi chandni mein Dal aae
hamara kaam sitare shikar karna tha
hui thi is liye taKHir tum se milne mein
KHud apna bhi to mujhe intizar karna tha
tumhaare waste karna tha main ne KHud ko talash
tumhaare waste main ne farar karna tha
abhi se tum ne mujhe be-kanar kar Dala
abhi to tum ne mujhe ham-kanar karna tha
hamari samt bhi ek sikka muskurahaT ka
hamein bhi apni reaya shumar karna tha
falak to bhul bhi sakta tha laghzishen 'saifi'
magar zamin ne bahut sharmsar karna tha
Ghazal
Hawa ke sath safar iKHtiyar karna tha
muneer saifi