hawa ke ruKH par charagh-e-ulfat ki lau baDha kar chala gaya hai
wo ek diye se na jaane kitne diye jala kar chala gaya hai
hum us ki baaton ki barishon mein har ek mausam mein bhigte the
wo apni chahat ke sare manzar hamein dikha kar chala gaya hai
usi ke bare mein harf likkhe usi pe hum ne ghazal kahi hai
jo kajli aankhon se mere dil mein naqab laga kar chala gaya hai
mata-e-jaan bhi usi pe wari usi ke dam se hai sans jari
mere badan mein wo KHushbuon ki hawa basa kar chala gaya hai
ye fasl-e-fikr-o-KHayal apni usi ke dam se hari-bhari hai
jo kachche koThon ke aanganon se dhuan uTha kar chala gaya hai
hamari aankhon mein ratjage ki jhaDi lagi hai usi ghaDi se
ki jab se koi ghazal apni jhalak dikha kar chala gaya hai
hiran mohabbat ke sabza-zaron mein jaane kab chaukDi bharenge
wo jate jate sawal aisa 'hasan' uTha kar chala gaya hai
Ghazal
Hawa ke ruKH par charagh-e-ulfat ki lau baDha kar chala gaya hai
Hasan Rizvi