hawa ke par katarna ab zaruri ho gaya hai
mera parwaz bharna ab zaruri ho gaya hai
mere andar kai ehsas patthar ho rahe hain
ye shiraaza bikharna ab zaruri ho gaya hai
main aksar zindagi ke un marahil se bhi guzra
jahan lagta tha marna ab zaruri ho gaya hai
meri KHamoshiyan ab mujh pe hawi ho rahi hain
ki khul kar baat karna ab zaruri ho gaya hai
bulandi bhi nashebon ki tarah lagne lagi hai
bulandi se utarna ab zaruri ho gaya hai
main is yak-rangi-e-haalat se ukta chuka hun
haqiqat se mukarna ab zaruri ho gaya hai
meri aankhen bahut viran hoti ja rahi hain
KHala mein rang bharna ab zaruri ho gaya hai
Ghazal
Hawa ke par katarna ab zaruri ho gaya hai
Khushbir Singh Shaad