hawa ke pas bas ek taziyana hota hai
isi se shahr o shajar ko Darana hota hai
wo sari baaten main ahbab hi se kahta hun
mujhe harif ko jo kuchh sunana hota hai
munafiqon mein shab-o-roz bhi guzarta hun
aur un ki zad se bhi KHud ko bachana hota hai
kitab-e-umr bhari ja rahi hai lekin kyun
na koi lafz na chehra purana hota hai
wahan bhi mujh ko KHuda sar-buland rakhta hai
jahan saron ko jhukae zamana hota hai
Ghazal
Hawa ke pas bas ek taziyana hota hai
Asad Badayuni