hawa ke lams se bhaDka bhi hun main
sharara hi nahin shola bhi hun main
wo jin ki aankh ka tara bhi hun main
un hi ke panw ka chhaala bhi hun main
akahra hai mera pairahan-e-zat
bura hun ya bhala jaisa bhi hun main
hawa ne chhin li hai meri KHushbu
misal-e-gul agar mahka bhi hun main
mere raste mein hail hai jo diwar
usi ke sae mein baiTha bhi hun main
taras jata hun jis ke dekhne ko
usi ek shaKHs se bachta bhi hun main
main jin logon ki surat se hun be-zar
unhi mein raat din rahta bhi hun main
jo meri KHush-libasi ke hain qael
un hi ke samne nanga bhi hun main
sarasar jhuT hai jo baat meri
usi ek baat mein sachcha bhi hun main
agarche fitratan kam-go hun phir bhi
jo sach puchho to kuchh banta bhi hun main
bahut is shahr mein ruswa hun 'rashid'
magar kya waqai aisa bhi hun main
Ghazal
Hawa ke lams se bhaDka bhi hun main
Rashid Mufti