اردو हिंदी
Hawa ke lab pe nae intisab se kuchh hain | Shaahi Shayari
hawa ke lab pe nae intisab se kuchh hain

Ghazal

Hawa ke lab pe nae intisab se kuchh hain

Azra Waheed

;

hawa ke lab pe nae intisab se kuchh hain
ki shaKH-e-wasl pe taza gulab se kuchh hain

ye pal ka qissa hai sadiyon pe jo muhit raha
bar-ab saat-e-guzaran habab se kuchh hain

hujum hum ko sar aankhon pe kyun biThae raha
dil-o-nazar pe hamare azab se kuchh hain

lahu rulate hain aur phir bhi yaad aate hain
mohabbaton ke purane nisab se kuchh hain

utarte rahte hain aankhon ke aainon pe sada
kitab-e-KHasta mein gum-gashta bab se kuchh hain

siwae tishnagi kuchh aur de sake na hamein
jo zer-e-ab chamakte sarab se kuchh hain

mudam un ko chamakna baghair KHauf-e-fana
ye aasman pe jo be-hisab se kuchh hain