hawa ke hath mein KHanjar hai aur sab chup hain
lahu-luhan mera ghar hai aur sab chup hain
sadaen bikhri paDi hain tamam aangan mein
nazar nazar mein ye manzar hai aur sab chup hain
na bolne ki manahi na koi dushwari
zaban sabhi ko mayassar hai aur sab chup hain
qusur-war hun itna ki chashm-did tha main
aur ab gunah mere sar hai aur sab chup hain
ye buz-dili nahin sahab to aur phir kya hai
sitam-shiar sitam par hai aur sab chup hain
Ghazal
Hawa ke hath mein KHanjar hai aur sab chup hain
Govind Gulshan