hawa ke dosh pe raqs-e-sahab jaisa tha
tera wajud haqiqat mein KHwab jaisa tha
dam-e-widaa samundar bichha raha tha koi
tamam-shahr hi chashm-e-pur-ab jaisa tha
meri nigah mein rangon ki dhup chhanw si thi
hujum-e-gul mein wo kya tha gulab jaisa tha
hamari pyas ne wo bhi nazara dekh liya
rawan-dawan koi dariya sarab jaisa tha
jhuki nigah wo kam kam suKHan dam-e-iqrar
wo harf harf tera intiKHab jaisa tha
mujhe to sair-e-jahan sair-e-bazgasht hui
tera jahan dil-e-KHana-KHarab jaisa tha
shikasta KHwabon ke TukDon ko joDte the hum
wo din ajib tha roz-e-hisab jaisa tha
hamein baratne mein kuchh ehtiyat lazim thi
dilon ka haal shikasta kitab jaisa tha
main 'shaz' kya kahun kya raushni thi rahon mein
wo aaftab na tha aaftab jaisa tha
Ghazal
Hawa ke dosh pe raqs-e-sahab jaisa tha
Shaz Tamkanat