اردو हिंदी
Hawa ka zor hi kafi bahana hota hai | Shaahi Shayari
hawa ka zor hi kafi bahana hota hai

Ghazal

Hawa ka zor hi kafi bahana hota hai

Shahryar

;

hawa ka zor hi kafi bahana hota hai
agar charagh kisi ko jalana hota hai

zabani dawe bahut log karte rahte hain
junun ke kaam ko kar ke dikhana hota hai

hamare shahr mein ye kaun ajnabi aaya
ki roz KHwab safar pe rawana hota hai

ki tu bhi yaad nahin aata ye to hona tha
gae dinon ko sabhi ko bhulana hota hai

isi umid pe hum aaj tak bhaTakte hain
har ek shaKHs ka koi Thikana hota hai

hamein ek aur bhari bazm yaad aati hai
kisi ki bazm mein jab muskurana hota hai