hawa ka taKHt bichhata hun raqs karta hun
badan charagh banata hun raqs karta hun
main baiTh jata hun takiya laga ke baatin mein
KHud apni bazm sajata hun raqs karta hun
zamin hanpne lagti hai ek jagah ruk kar
main us ka hath baTata hun raqs karta hun
mera surur mujhe khinchta hai apni taraf
main apne-ap mein aata hun raqs karta hun
main jaanta hun mujhe kaise shant hona hai
kaho to ho ke dikhata hun raqs karta hun
meri misal dhuan hai bujhe charaghon ka
jab apna sog manata hun raqs karta hun
ajib lahr si 'anjum' mere KHamir mein hai
jise wajud mein lata hun raqs karta hun
Ghazal
Hawa ka taKHt bichhata hun raqs karta hun
Anjum Saleemi