hawa ka jhonka bhi nazren jama ke baiTh gaya
main ret par tera chehra bana ke baiTh gaya
sarapa-naz wo mahfil mein aa ke baiTh gaya
na jaane kitnon ke tote uDa ke baiTh gaya
tha intizar mujhe jis ke lauT aane ka
kisi ko aur wo apna bana ke baiTh gaya
bhaTak rahi thi hawa kasa-e-talab le kar
so raste mein diya main jala ke baiTh gaya
wo ek bulbula jo sath-e-ab par ubhra
bisat meri wo mujh ko bata ke baiTh gaya
kuredne se na baz aaya rakh mazi ki
wo aaKHir ungliyan apni jala ke baiTh gaya
malal-o-rashk hai 'jirajpuri' ko us ka
'niyaz' se bhi koi dil laga ke baiTh gaya
Ghazal
Hawa ka jhonka bhi nazren jama ke baiTh gaya
Niyaz Jairajpuri