hawa ka hukm bhi ab ke nazar mein rakkha jae
kisi bhi ruKH pe daricha na ghar mein rakkha jae
ye kaenat abhi tak mere tawaf mein hai
ajab nahin ise yunhi safar mein rakkha jae
main sang-e-sada hun lekin meri ye hasrat hai
makan dost ke diwar-o-dar mein rakkha jae
ye jal-bujhega isi zoam-e-agahi ke sabab
diye ko aur na bab-e-KHabar mein rakkha jae
nasha uDan ka aise utarne wala nahin
kuchh aur wazn mere baal-o-par mein rakkha jae
koi kahin na kahin ek kami si hai mujh mein
mujhe dobara gul-e-kuza-gar mein rakkha jae
wo aaina hai to hairat kisi jamal ki ho
jo sang hai to kahin rahguzar mein rakkha jae
wo chahta hai ki 'tariq'-naim tujh ko bhi
tamam umr usi ke asar mein rakkha jae
Ghazal
Hawa ka hukm bhi ab ke nazar mein rakkha jae
Tariq Naeem