hawa hawas ke ilaqe dikha rahi hai mujhe
gul-e-gunah ki mahak phir bula rahi hai mujhe
abhi na jaunga main dusre sitare par
ki ye zamin abhi ras aa rahi hai mujhe
charagh bhi mera chehra hai shab bhi mera jism
to phir ye KHalq-e-KHuda kyun jala rahi hai mujhe
samajh mein kuchh nahin aata ki ye hawa-e-wajud
jala rahi hai mujhe ya bujha rahi hai mujhe
giyah-e-ishq bhi meri gul-e-hawas bhi mere
to kyun zamin tamasha bana rahi hai mujhe
Ghazal
Hawa hawas ke ilaqe dikha rahi hai mujhe
Asad Badayuni