hawa-e-zindagi bhi kucha-e-qatil se aati hai
samajh is baat ki lekin zara mushkil se aati hai
yunhi hoti nahin hai wusat-e-fikr-o-nazar paida
basarat mein basirat dar-haqiqat dil se aati hai
kamal-e-ishq ka yun bhi kabhi andaz hota hai
su-e-parwana shama chal ke KHud mahfil se aati hai
KHayalon mein gham-e-sud-o-ziyan kuchh bhi nahin rahta
mohabbat ki ye KHubi sai-e-la-hasil se aati hai
wo aalam kaun sa aalam hai jo pinhan nahin mujh mein
jo gosh-e-fikr wa ho ye sada bhi dil se aati hai
koi tufan bas aane hi wala hai samundar mein
ki bu is baat ki KHamoshi-e-sahil se aati hai
nigahen qais ki yun hi nahin hain mahw-e-nazzara
ziya laila ki hai jo parda-e-mahmil se aati hai
nahin aati hai jab ye to kisi par bhi nahin aati
magar aati hai jab apni tabiat dil se aati hai
nahin rahta tafawut jab visal-o-hijr mein kuchh bhi
ye manzil intizar-e-shauq mein mushkil se aati hai
lahu ki chhinT tak qatil ke daman par nahin koi
taDapne ki ada aisi baDi mushkil se aati hai
Ghazal
Hawa-e-zindagi bhi kucha-e-qatil se aati hai
Rohit Soni u0027Tabishu0027